raushnī kā qālib jab tīrgī meñ Dhaltā hai
ḳhvāhishoñ ke siine meñ merā dil machaltā hai
regzār sochoñ kā sūrajoñ kī zad meñ hai
jism ārzūoñ kā haule haule jaltā hai
jab bhī koī hamrāhī saath chhoḌ jaatā hai
muddatoñ ḳhayāl us kā saath saath chaltā hai
umr bhar kī qismat kab itnā to Thahar jaatā
jitnā ek muflis ke ghar charāġh jaltā hai
intizār kā sahrā phailtā hī jaatā hai
ik sarāb ban kar vo rāste badaltā hai