Irtiza Nishat

pas-manzaron ke samne manzar hi rah na jaen

Irtiza Nishat

1938
pas-manzaroñ ke sāmne manzar hī rah na jaa.eñ
sīnoñ ke raaz sīnoñ ke andar hī rah na jaa.eñ
kahne kī baat aur hai karne kī baat aur
ya.anī ye soch lījiye kah kar hī rah na jaa.eñ
dekho vahī to vaqt nahīñ aa rahā hai phir
phir aaj apne saath bahattar hī rah na jaa.eñ
ik dūsre ko ye jo haḌap kar rahe haiñ ham
socho zamīñ na ho to samundar hī rah na jaa.eñ
is baar gir paḌī haiñ chhateñ bhī makān kī
is baar haath haath pe dhar kar hī rah na jaa.eñ
bhaa.ī duā kā shīsh-mahal bhī hai koī chiiz
hāthoñ meñ bad-duāoñ ke patthar hī rah na jaa.eñ
kuchh kar ke ai 'nishāt' dikhāo vagarna phir
afrāsiyāb-o-ḳhizr-o-sikandar hī rah na jaa.eñ
Top Urdushayar.com