raah meñ merī agar aa.e to mar jā.eñge aap
kyā mujhe yuuñ hī nazar-andāz kar jā.eñge aap
ek pal āsūdgī kā ek lamha ishq kā
mujh se ham-āġhosh hote hī nikhar jā.eñge aap
sat.h par mujh ko chhalakne kī na dāvat dījiye
ek qatra bhī agar Tapkā to bhar jā.eñge aap
ik adā ma.asūmiyat aur ek tohmat ma.asiyat
kab talak bachte raheñge ham kidhar jā.eñge aap
bad-shugūnī kī alāmat pesh-ḳhema maut kā
dekhiye ham jaan de deñge agar jā.eñge aap
qabr jaisī nā-pasandīda jagah bhī 'irtizā'
dil kabhī hargiz na chāhegā magar jā.eñge aap