Irtiza Nishat

idhar udhar ke hawalon se mat Darao mujhe

Irtiza Nishat

1938
idhar udhar ke havāloñ se mat Darāo mujhe
saḌak pe aao samundar meñ āzmāo mujhe
mirā vajūd agar rāste meñ haa.il hai
tum apnī raah nikālo phalāñg jaao mujhe
sivā.e mere nahīñ koī jārehāna qadam
maiñ ik haqīr piyāda sahī baḌhāo mujhe
isī meñ merī tumhārī najāt muzmar hai
ki maiñ banā.ūñ tumheñ aur tum miTāo mujhe
guzarne vaalā har ik lamha merā qātil hai
ḳhudā ke vāste maaro ise bachāo mujhe
jamī huī haiñ mirī laash par nigāheñ kyuuñ
maiñ koī āḳhirī ḳhvāhish nahīñ dabāo mujhe
ḳhushī manāte ho kahte ho mujh ko iid 'nishāt'
magar maiñ ḳhuun kī holī bhī huuñ jalāo mujhe
Top Urdushayar.com