Baldev singh Hamdam

tamanna hai tamanna mein teri ji se guzar jaen

Baldev singh Hamdam

Sialkot, Punjab, Pakistan

1922
tamannā hai tamannā meñ tirī jī se guzar jaa.eñ
yahī hai aarzū apnī isī ḳhvāhish meñ mar jaa.eñ
gunāhoñ meñ samā jaa.eñ kaleje meñ utar jaa.eñ
mirī duniyā-e-hastī meñ tire jalve bikhar jaa.eñ
na duniyā meñ Thikāna hai na uqbā meñ Thikāna hai
tire bande agar jaanā bhī chāheñ to kidhar jaa.eñ
tire rindoñ meñ ai saaqī bhalā itnī kahāñ tāqat
bachā kar apnā dāman mai-kade se vo guzar jaa.eñ
luTā kar dīn-o-duniyā anjuman meñ terī aa.e the
yahāñ se uTh kar ab ham Thokareñ khāne kahāñ jaa.eñ
hamāre daur-e-māzī kī na ham se pūchh ai 'hamdam'
vahī achchhe haiñ lamhe zindagī ke jo guzar jaa.eñ
Top Urdushayar.com