guloñ ke dām-e-mohabbat meñ aa rahā huuñ maiñ
fareb husn-e-majāzī kā khā rahā huuñ maiñ
kisī ke husn kī tasvīr khīñch kar dil meñ
tasavvurāt kī mahfil sajā rahā huuñ maiñ
mujhe talab hī nahīñ hai kisī masarrat kī
ḳhushī samajh ke tirā ġham uThā rahā huuñ maiñ
guloñ kī bazm se mujh ko na thī koī raġhbat
tumhārā naqsh-e-qadam DhūñDhtā rahā huuñ maiñ
safīna ġham kā liye jā.egā kahāñ yārab
muhīt-e-zīst meñ bahtā hī jā rahā huuñ maiñ
baqā kī fikr na andesha-e-fanā 'hamdam'
ḳhudā ke jalve meñ ḳhud ko samā rahā huuñ maiñ