Baldev singh Hamdam

jo baat rahe dil mein wahi baat baDi hai

Baldev singh Hamdam

Sialkot, Punjab, Pakistan

1922
jo baat rahe dil meñ vahī baat baḌī hai
ulfat kā taqāzā bhī yahī kam-suḳhanī hai
saaqī tirī āñkhoñ meñ haiñ do-jām chhalakte
mai-ḳhāne kī mastī tirī āñkhoñ meñ bharī hai
fankār ne jab apnā qalam ġham meñ Duboyā
tab jā ke tire husn kī tasvīr banī hai
jab chāhā tujhe dekh liyā jān-e-tamannā
ġham-ḳhāna-e-dil meñ tirī tasvīr juḌī hai
kyoñ sub.h nahīñ hotī mirī shām-e-alam kī
kyoñ ziist mirī maut ke sāñche meñ Dhalī hai
jis vaqt nazar aayā tirī zulf kā saaya
us vaqt kahā dil ne yahāñ chhāñv ghanī hai
tauhīn na kar is kī ise kah le mai-e-nāb
nāseh mire sāġhar meñ to shīshe kī parī hai
ye vaqt-e-javānī hai gañvā is ko na 'hamdam'
nādān ibārat ke liye umr paḌī hai
Top Urdushayar.com