junūñ baġhair kabhī āgahī nahīñ hotī
jale na sham.a to kuchh raushnī nahīñ hotī
vo sajda sajda nahīñ jis meñ hosh baaqī ho
ba-qaid-e-hosh jo ho bandagī nahīñ hotī
qabā-e-husn kī tābish agar ho āñkhoñ meñ
bashar ke dil meñ kabhī tīrgī nahīñ hotī
qadam qadam pe jo khaa.e fareb hastī kā
us aadmī kī koī zindagī nahīñ hotī
rumūz-e-zīst se vāqif huā hai jo insāñ
baqā-e-zīst kī us ko ḳhushī nahīñ hotī
bashar ke vāste lāzim hai jazba-e-ulfat
chaman meñ gul na ho to zindagī nahīñ hotī
bashar kā azm nikhartā hai mushkiloñ hī meñ
alam na jis meñ ho vo zindagī nahīñ hotī
isī umiid pe 'hamdam' gunāh kartā huuñ
ḳhudā ke ghar meñ karam kī kamī nahīñ hotī