Baldev singh Hamdam

agar hain Khaar-e-alam aadmi ke daman mein

Baldev singh Hamdam

Sialkot, Punjab, Pakistan

1922
agar haiñ ḳhār-e-alam aadmī ke dāman meñ
ḳhushī ke phuul bhī to haiñ usī ke dāman meñ
hazār aish sahī zindagī ke dāman meñ
magar hai sabr kahāñ aadmī ke dāman meñ
agar sukūñ hai to hai bandagī ke dāman meñ
milegī manzil-e-irfāñ usī ke dāman meñ
kisī kī yaad meñ aañsū jo aañkh se Tapke
javāharāt haiñ ye āshiqī ke dāman meñ
kamāl-e-zabt yahī hai vaqār-e-ishq yahī
chhupī ho ārzū-e-dil ḳhudī ke dāman meñ
hadīs-e-ishq-o-mohabbat kā tarjumāñ jo ho
adab ke phuul khile haiñ usī ke dāman meñ
ba-chashm-e-ġhaur jo dekho to aur bhī kuchh hai
faqat gunāh nahīñ aadmī ke dāman meñ
ajal hazār burī chiiz hai magar hamdam
panāh miltī hai āḳhir usī ke dāman meñ
Top Urdushayar.com