rā.egāñ jaatā hai kab ulfat meñ dīvānoñ kā ḳhuuñ
rañg laatā hai kisī din in ke armānoñ kā ḳhuuñ
husn-e-gul par is qadar maa.il na ho ai andalīb
ho ke rah jā.egā ik din tere armānoñ kā ḳhuuñ
ḳhaak bulbul ne sañvārā ġhāza bhī kar husn-e-gul
aur nūr-e-sham.a meñ chamkā hai parvānoñ kā ḳhuuñ
āshiyāne meñ qafas kā zikr thā sūhān-e-rūh
ab qafas meñ ho rahā hai dil ke armānoñ kā ḳhuuñ
sub.h tak ai sham.a tujh ko jagmagānā hai faqat
kis liye nāhaq kiye jaate haiñ parvānoñ kā ḳhuuñ