raushnī ho na sakī shaam ke hañgām ke saath
aur ham diip jalāte rahe har shaam ke saath
duur baḌhtā hī gayā hasrat-e-nākām ke saath
dil meñ ik Tiis uThī aap ke hañgām ke saath
aap ne pursish-e-ġham kā bhī takalluf na kiyā
dil meñ ham jalte rahe hasrat-e-nākām ke saath
jaane kyuuñ aaj mire ishq kī tash.hīr huī
har zabāñ par hai mirā naam tere naam ke saath
daur-e-mai ḳhatm huā sham.a kā dil baiTh gayā
raunaq-e-bazm ga.ī sāqī-e-gulfām ke saath
vaqt kī baat hai kyā vaqt guzar jā.egā
aur kuchh der chalo gardish-e-ayyām ke saath
manzil-e-ishq meñ kyā kaam thā un kā 'hamdam'
thak ke jo baiTh ga.e raah meñ ārām ke saath