log kahte haiñ bahut zinda-o-pā.inda huuñ
kis ko mālūm hai ye sach ki tirā kushta huuñ
zindagī naam tanaffus kā nahīñ hai jānāñ
shikva be-jā hai ki bin tere bhī maiñ zinda huuñ
maar hī detī mujhe terī ye furqat lekin
kab tirī yaad ne chhoḌā hai ki maiñ tanhā huuñ
hai bajā terī judā.ī meñ to mar jaanā thā
maiñ magar hijr meñ bhī vasl se vābasta huuñ
marne jiine kā sabab ḳhuub hai ma.alūm mujhe
sard-mehrī hai kisī kī jo maiñ ik lāsha huuñ
be-ruḳhī kā hai vo ik sañg faqat sañg hai vo
aur maiñ us ke liye shīsha faqat shīsha huuñ
vo ki hai mere liye ātish-e-dil ai 'ḳhālid'
maiñ magar us ke liye sirf dhueñ jaisā huuñ