in dinoñ shaam aise aatī hai
mauj-e-ḳhūñ meñ nahā ke jaatī hai
ek sahrā mujhe bulātā hai
ek vahshat gale lagātī hai
pahle ham dhuup meñ jhulaste the
ab to ye chhāñv bhī jalātī hai
kitnī ma.asūm hai vafā apnī
bevafā.ī hañsī uḌātī hai
ġhair kī baat us se kyoñ pūchhī
us kī sachchā.ī ab rulātī hai
kitne ishve haiñ ik mohabbat ke
kitne pahlū se āzmātī hai
ek din e'tibār TuuTā thā
ab to har chiiz TuuT jaatī hai
ḳhvāb āñkhoñ meñ jab bhī aatā hai
ek ta.abīr muñh chiḌātī hai
tiir kaisā thā jaane ai 'ḳhālid'
ruuh zaḳhmoñ se chhaTpaTātī hai