chashm ko sauñpī ga.ī ḳhidmat-e-ḳhvāb
dil pe taarī hai ajab hālat-e-ḳhvāb
ḳhvāb ab ke na haqīqat ho jaa.e
ab ke aisī hai mirī shiddat-e-ḳhvāb
maiñ ne paḌh lī haiñ tirī bhī āñkheñ
sirf mujh par na lagā tohmat-e-ḳhvāb
tujh ko muzhda ho mirī aañkh ki ab
mujh meñ baaqī na rahī himmat-e-ḳhvāb
ḳhvāb maḳhfī hī rahe sab se yahāñ
kaun kartā hai bhalā izzat-e-ḳhvāb
merī āñkhoñ meñ guhar haiñ kitne
mujh ko hāsil hai bahut daulat-e-ḳhvāb
tum ki jalvat se gurezāñ ho bahut
ab to aa jaao ki hai ḳhalvat-e-ḳhvāb
us ke pahre haiñ mirī āñkhoñ par
us ko ma.alūm hai kyā quvvat-e-ḳhvāb
kitnā be-ḳhvāb kiyā hai tū ne
chhoḌ pīchhā mirā ai āfat-e-ḳhvāb
bas kaleja hī chabā jaatī hai
kitnī ḳhuñḳhār hai ye vahshat-e-ḳhvāb
kā.enāt aur hayāt ai 'ḳhālid'
ḳhvāb meñ jaise koī sā.at-e-ḳhvāb