ġharīq-e-zikr-e-ḳhudā din ko ḳhānqāh meñ thā
jo shaiḳh raat ko Duubā huā gunāh meñ thā
tamām sañg-dilī yā ki phir ġhurūr-o-hasham
kuchh aur is ke sivā bhī jahāñ-panāh meñ thā
hurūf-e-makr tire lab pe the magar zālim
mujhe fareb bhī khānā vafā kī raah meñ thā
tumhāre qaul-o-qasam par fareb kyā khātā
tumhārā tarz-e-adā bhī mirī nigāh meñ thā
Tapak ke dīda-e-nam se sadā.eñ detā hai
jo ek harf-e-tamannā dil-e-tabāh meñ thā
mujhe to raas ai 'ḳhālid' yahī zamīñ aa.ī
ye aur baat mirā zikr mahr-o-māh meñ thā