Khalid Mubashshir

jo ahd-e-nau mein KHamir-e-bashar banaya jae

Khalid Mubashshir

Kishanganj, Bihar, India

1980
jo ahd-e-nau meñ ḳhamīr-e-bashar banāyā jaa.e
sināñ ko haath to neze ko sar banāyā jaa.e
shab-e-hayāt ko aise sahar banāyā jaa.e
ik āftāb sar-e-chashm-e-tar banāyā jaa.e
mire havās ko ye kaun hukm detā hai
ki us ko markaz-e-qalb-o-nazar banāyā jaa.e
maiñ apne paikar-e-ḳhākī se mutma.in hī nahīñ
mire ḳhudā mujhe bār-e-digar banāyā jaa.e
darūn-e-zāt kisī kā ye jabr hai mujh par
usī ko jaan usī ko jigar banāyā jaa.e
sukūn-o-rāhat-e-jāñ ab kahīñ nahīñ mumkin
tumhāre dil ko hī ab mustaqar banāyā jaa.e
jo ham-nafas bhī ho hamrāz bhī ho hamdam bhī
usī ko kyoñ na bhalā ham-safar banāyā jaa.e
bahut hī tañg haiñ ye lā-makāñ ke galiyāre
so dasht-e-zāt ko hī rahguzar banāyā jaa.e
agar banānā hī lāzim hai kuchh to ai 'ḳhālid'
ḳhud apnī ḳhaak ko ab ke guhar banāyā jaa.e
Top Urdushayar.com