Khalid Mubashshir

tumhaari yaad ka marham banam-e-dil kar dun

Khalid Mubashshir

Kishanganj, Bihar, India

1980
tumhārī yaad kā marham banām-e-dil kar duuñ
tamām hijr ke zaḳhmoñ ko mundamil kar duuñ
bahut zarūrī hai sahrā meñ ishq zinda rahe
so is ko kyoñ na atā apne āb-o-gil kar duuñ
abhī to dard mire dil meñ aarzī hai magar
sifārish aap jo farmā.eñ mustaqil kar duuñ
jo dāġh-e-ishq chamak uThe mere siine meñ
tamām māh-e-do-hafta ko maiñ ḳhajil kar duuñ
utar ga.ī haiñ tirī sab udāsiyāñ mujh meñ
so apnī saarī ḳhushī tujh ko muntaqil kar duuñ
harūf-e-shauq meñ laakh intishār ho 'ḳhālid'
ḳhayāl husn-e-sarāpā se maiñ sajil kar duuñ
Top Urdushayar.com