zamīñ se chal ke to pahuñchā huuñ āsmāñ tak maiñ
safar kā bojh uThā.e phirūñ kahāñ tak maiñ
azal vajūd safar rāste kī dhuñd adam
qusūr-vār huuñ tartīb-e-dāstāñ tak maiñ
sukūn-e-zīst ibārat thā jis kī yādoñ se
bhulā chukā huuñ vo harf-e-qarār-e-jāñ tak maiñ
ye soch kar na koī rāste meñ luT jaa.e
diye jalātā chalā kū-e-dilbarāñ tak maiñ
maiñ zindagī kī ināyāt se nahīñ mahrūm
qarīb huuñ ġham-e-dil se ġham-e-jahāñ tak maiñ
na farsh merā Thikāna na arsh merā maqām
ye aur baat zamīñ par huuñ āsmāñ tak maiñ