shyām gokul na jaanā ki rādhā kā jī ab na bansī kī tānoñ pe lahrā.egā
kis ko fursat ġham-e-zindagī se yahāñ kaun be-vaqt ke raag sun pā.egā
us galī se chalī dard kī rau magar shahr meñ ahl-e-dil haiñ na ahl-e-nazar
jaane kis sar se guzregī ye mauj-e-ḳhūñ jaane kis ghar ye sailāb-e-ġham jā.egā
zulmat-e-ġham se itne hirāsāñ na ho kaun mushkil hai yaaro jo āsāñ na ho
ye garāñ-ḳhvāb lamhe bhī kaT jā.eñge raat Dhal jā.egī din nikal aa.egā
har nafas har qadam har na.e moḌ par vaqt ik zaḳhm-e-nau de rahā hai magar
vaqt ḳhud apne zaḳhmoñ kā marham bhī hai vaqt ke saath har zaḳhm bhar jā.egā
kis lagan kis tamannā se kis chaav se mausam-e-rañg-o-nik.hat ko dī thī sadā
kyā ḳhabar thī ki abr-e-bahār-āfrīñ aag ke phuul gulshan pe barsā.egā
tere ġham ke charāġhoñ kī sad-rañg zau ik kiran de sakegī na ehsās ko
bazm-e-jāñ itnī sunsān ho jā.egī shahr-e-dil itnā vīrān ho jā.egā