na karb-e-hijr na kaiffiyat-e-visāl meñ huuñ
mujhe na chheḌiye ab maiñ ajiib haal meñ huuñ
tamām rañg-e-ibārat meñ soz-e-jāñ se mire
maiñ husn-e-zāt huuñ aur manzil-e-jamāl meñ huuñ
mirā vajūd zarūrat hai har zamāne kī
maiñ raushnī kī tarah zehn-e-māh-o-sāl meñ huuñ
abhī vasīl-e-iz.hār DhūñDhtī hai nigāh
abhī savāl kahāñ hasrat-e-savāl meñ huuñ
mujhe na dekh mirī zaat se alag kar ke
maiñ jo bhī kuchh huuñ faqat apne ḳhadd-o-ḳhāl meñ huuñ
maiñ jī rahā huuñ ye merā kamāl hai 'hashrī'
maiñ apne ahd kī tahzīb ke zavāl meñ huuñ