lab-e-jāñ-baḳhsh ke mīThe kā tere jo maza paayā
to chashma zindagī kā apnī labrez-e-baqā paayā
na ho.e kyuuñ ba-sad jaañ dil mirā maftūñ tirā jānāñ
ki har jalve meñ tere yak karishma maiñ judā paayā
do-bālā kyuuñ na ho nashsha dil-e-hairāñ kī hairat kā
jo tujh ko sab meñ aur tere meñ sab ko barmalā paayā
tirī ik gadish-e-mizgāñ se yuuñ be-tāb-o-tāqat huuñ
na kah saktā huuñ kuchh gar koī pūchhe tū ne kyā paayā
na duniyā us meñ rah paave na uqbā us ko phailāve
dil-e-'āgāh' ke kausar meñ jin ne inzivā paayā