Baqar Agah Vellori

nahin hai ashk se ye KHun-e-nab aankhon mein

Baqar Agah Vellori

India

1745-1805
nahīñ hai ashk se ye ḳhūn-e-nāb āñkhoñ meñ
bharā hai rañg se tere shahāb āñkhoñ meñ
kahāñ nikal sake aañsū nazar ko jaa.e nahīñ
rakhā huuñ shakl ko terī maiñ daab āñkhoñ meñ
ulūhī kis kī tajallī se ho gayā huuñ do-chār
jhamak rahā hai sadā māhtāb āñkhoñ meñ
hue haiñ jab se vo kaif-e-nigah ke ā.ina-dār
bajā.e ashk bharī hai sharāb āñkhoñ meñ
amal se apnī zabāñ kis tarah na ho be-kār
jahāñ ho rasm savāl-o-javāb āñkhoñ meñ
huā huuñ jab se maiñ itlāq us ke se āgāh
jahāñ maiñ dekhūñ hai vaañ bū-turāb āñkhoñ meñ
Top Urdushayar.com