rahtā hai zulf-e-yār mire man se man lagā
ai naag tire haath ye kyā ḳhuub man lagā
dekhā hai jin ne rū-e-dil-afroz ko tire
be-shak nazar meñ bāġh-e-iram us kī ban lagā
sarsabz nit rakheñge unheñ mere ashk o aah
ai nau-bahār-e-husn jo chāhe chaman lagā
siina sipar kar ā.ūñgā kūche meñ maiñ tire
garche raqīb baiThe haiñ vaañ tan se tan lagā
kyā fā.eda hai qissa-e-rizvān se tujhe
koī sham.a-rū parī sate tū bhī lagan lagā
'āgāh' ḳhaar ḳhaar judā.ī se hai hazīñ
yak-bār tū gale se use gul-badan lagā