Sabir Zafar

chhane honge sahra jis ne wo hi jaan saka hoga

Sabir Zafar

1949
chhāne hoñge sahrā jis ne vo hī jaan sakā hogā
miTTī meñ ham jaise mile haiñ kam koī ḳhaak huā hogā
ulTe sīdhe girte-paḌte chal paḌte haiñ is liye ham
manzil par le jaane vaalā koī to naqsh-e-pā hogā
itnī saj-dhaj se jo chale the qāfile vo haiñ Thahar ga.e
hogā havā-e-sahrā jaisā aage jo bhī gayā hogā
kuchh hone se an-hone se farq to paḌne vaalā nahīñ
ho nahīñ paayā ab tak kuchh bhī hogā bhī to kyā hogā
muḌ ke jo aa nahīñ paayā hogā us kūche meñ jā ke 'zafar'
ham jaisā be-bas hogā ham jaisā tanhā hogā
Top Urdushayar.com