tamām-umr kī ġhaflat ke ba.ad ḳhvāb aayā
uThā jo parda-e-hastī mujhe hijāb aayā
ajal-nasīb thā shām-e-visāl ḳhvāb aayā
vo be-hijāb hue to mujhe hijāb aayā
balā hai ahd-e-javānī se ḳhush na ho ai dil
sambhal ki umr kī duniyā meñ inqalāb aayā
baḌhā.e hausle dariyā-dilī ne saaqī kī
zarā se jaam meñ sau baar āftāb aayā
koī sadā nahīñ aatī ki kaun hai kyā hai
kahāñ bhaTak ke dil-e-ḳhānumāñ-ḳharāb aayā
ummīd-o-bīm meñ rakkhā tamām raat mujhe
kabhī naqāb uThā.ī kabhī hijāb aayā
zamāne vāloñ ko pahchānñe diyā na kabhī
badal badal ke libās apne inqalāb aayā
sivā.e yaas na kuchh gumbad-e-falak se milā
sadā bhī dī to palaT kar vahī javāb aayā
uḌā ke hosh huā ho ga.ī tajallī-e-tūr
sabhoñ se aañkh churātā huā hijāb aayā
harīf-e-mai nahīñ samjhā to kyuuñ mirī jānib
lahū ke ghūñT piye sāġhar-e-sharāb aayā
haTe na apnī tabī.at se husn-o-ishq kabhī
hazār baar zamāne meñ inqalāb aayā
sunā.īñ kyā tumheñ nairañg-e-ishq kā qissa
tamām-umr na āñkheñ khulīñ na ḳhvāb aayā
khaTak vo dil meñ hī paidā jo aaj tak na huī
samajh rahā huuñ ki tiflī ga.ī shabāb aayā
kafan pinhā diyā 'sāqib' sanam-parastī ne
ḳhudā ke sāmne jaate hue hijāb aayā