Jatinder Vir Yakhmi jayaveer

aashiyan apna bina diwar-o-dar hota nahin

Jatinder Vir Yakhmi jayaveer

Khanna, Punjab, India

1946
āshiyāñ apnā binā dīvār-o-dar hotā nahīñ
be-muravvat kaash ye terā shahar hotā nahīñ
kyuuñ pashemāñ ho ke tum ne dard-e-dil mujh ko diyā
har gunah sañgīn aisā jaan kar hotā nahīñ
aap kā thā saath to thī zindagī par kyā kaheñ
ab safar aisā hai jis meñ ham-safar hotā nahīñ
hai ġhazab Dhātā ajab ye kār-o-bār-e-intizār
raat guzre taare gin, par din basar hotā nahīñ
aa.e haiñ sunte ki aisā vaqt bhī aatā hai jab
ho davā yā phir duā kuchh kārgar hotā nahīñ
duniyā se laḌ jā.iye āsān hai kahnā huzūr
dekhiye har shaḳhs meñ itnā jigar hotā nahīñ
Top Urdushayar.com