ye man-bhāvan sā apnā-pan jaane kahāñ se laate ho
jab aate ho dil kā TukḌā ek churā le jaate ho
chup-chup rah ke kuchh nahīñ kah ke kyā se kyā kah jaate ho
dabe dabe bujhte ḳhvāboñ ko aur havā de jaate ho
chhoTī chhoTī mīThī bāteñ bhuul chuke the ham jin ko
halke halke yaad dilā ke is dil ko sahlāte ho
jaate vaqt yahī kahte ho aglī baar na jāoge
kaise kaise nā-mumkin se va.ade tum kar jaate ho
aate hī jaane kī jaldī der na ho ghabrāte ho
der huī to kabhī kabhī is dil meñ bhī rah jaate ho