be-vajah aap hameñ kaash na yuuñ Thukrāte
aazmā lete yā dastūr badalte jaate
laakh chāhā ki ho pahchān koī apnī bhī
kaash ham aap ke hī naam se jaane jaate
ye bhī ehsāñ na kiyā aap ne rūTho ham se
ik bahāna to milā hotā manāne aate
ḳhuub gahrī jo lagī choT to ham ne jaanā
vaqt lagtā hai kisī dard ko jaate jaate