hai vahī tishnagī sāqiyā phir mujhe
jaam se peshtar kuchh pilā phir mujhe
kis tarah dosto mai-kashī chhoḌ duuñ
jaam o mahfil se hai vāsta phir mujhe
chāñdnī raat meñ dil pareshān hai
chāñd tū yaad kyuuñ aa gayā phir mujhe
gar munāsib nahīñ mujh ko manzil mile
hai safar lāzmī kyuuñ ḳhudā phir mujhe
jis galī meñ mire dil ke TukḌe hue
dil vahīñ khīñch kar le chalā phir mujhe
haañ koī bhī hunar ḳhaas mujh meñ nahīñ
kyuuñ zamāna rahā DhūñDhtā phir mujhe
saath tum ho mire haath meñ jaam hai
hai ġham-e-zindagī ḳhvāh-maḳhvāh phir mujhe