ḳhūn-e-nāhaq thī faqat duniyā-e-āb-o-gil kī baat
ye hai mahshar kyuuñ yahāñ ho dāman-e-qātil kī baat
aaj kyuuñ ashkoñ meñ hai aks-e-tabassum jalva-gar
aa ga.ī kyā apnī had par ġham ke mustaqbil kī baat
har nazar rañgīnī-e-ruḳh tak pahuñch kar rah ga.ī
phuul ab kis se kaheñ gulshan meñ zaḳhm-e-dil kī baat
dekhte hī rah ga.e qānūn-e-qudrat ahl-e-zabt
le uḌī ḳhākistar-e-parvāna jab mahfil kī baat
nāḳhudā ham aur tūfāñ se kareñ fikr-e-farār
ham kabhī karte nahīñ sāhil pe bhī sāhil kī baat
ho na jaa.e phir shu.ūr-e-kārvāñ nazr-e-fareb
chheḌ dī hai rāhbar ne aaj phir manzil kī baat
koī apnā hai na koī hamdam-o-dard-āshnā
ai ḳhudā kis se kahe 'ejāz' apne dil kī baat