Ejaz Warsi

chup khaDe hain darmiyan-e-kaba-o-but-KHana hum

Ejaz Warsi

Sambhal, Uttar pradesh, India

chup khaḌe haiñ darmiyān-e-ka.abā-o-but-ḳhāna ham
kis taraf jaa.eñ batā ai jalva-e-jānāna ham
azmat-e-rafta se itne ho ga.e begāna ham
ban ga.e haiñ apnī hī nazroñ meñ aaj afsāna ham
haa.e ye majmūa-e-sar-mastī-o-kaif-o-ḳhumār
tak rahe haiñ terī āñkhoñ ko liye paimāna ham
bevafā sham.eñ bahar-sū DhūñDhtī haiñ ab hameñ
miT ga.e jab sūrat-e-ḳhākistar-e-parvāna ham
haiñ nigāhoñ meñ abhī tak tuur kī rusvā.iyāñ
ab kahāñ jur.at ki dekheñ jalva-e-jānāna ham
ārzū-e-sajda-rezī had se baḌh jaatī hai jab
sar tire qadmoñ pe rakh dete haiñ betābāna ham
pā-e-sāqī tak jabīn-e-shauq ko pahuñchā diyā
tere mamnūn-e-karam haiñ laġhzish-e-mastāna ham
Top Urdushayar.com