kisī ke shikva-hā-e-jaur se vāqif zabāñ kyuuñ ho
ġham-e-dil aag to lag hī chukī lekin dhuāñ kyuuñ ho
mohabbat meñ visāl-o-hijr kī tam.īz kyā ma.anī
bisāt-e-ishq par bāzīcha-e-sūd-o-ziyāñ kyuuñ ho
jabīñ saa.il thī nādim hai magar ai sajda-e-āḳhir
mirī mahrūmiyoñ se be-ta.alluq āstāñ kyuuñ ho
ḳhudāvandā chaman meñ to nasheman hī nasheman haiñ
nazar meñ barq kī sirf ek shāḳh-e-āshiyāñ kyuuñ ho
rivāyāt-e-kuhan ko azm-e-nau ḳhātir meñ kyā laa.e
zamīr-e-kārvāñ pāband-e-mīr-e-kārvāñ kyuuñ ho
ye maanā ek aañsū hai magar ai sa.ī-e-zabt-e-ġham
sar-e-mizhgāñ ye ik aañsū bhī dil kā tarjumāñ kyuuñ ho
zamāna jab bhulā hī baiThā 'ejāz'-e-hazīñ tujh ko
koī ab mehrbāñ kyuuñ ho koī nā-mehrbāñ kyuuñ ho