Ejaz Warsi

dil bujh gaya to garmi-e-bazar bhi nahin

Ejaz Warsi

Sambhal, Uttar pradesh, India

dil bujh gayā to garmī-e-bāzār bhī nahīñ
ab zikr-e-bāda-o-lab-o-ruḳhsār bhī nahīñ
apnā thā ḳhalvatoñ meñ kabhī partav-e-jamāl
qismat meñ ab to sāya-e-dīvār bhī nahīñ
shikva zabāñ pe phuul se ahbāb kā ġhalat
ai dost mujh ko to gila-e-ḳhār bhī nahīñ
aayā na raas aap ko ai shaiḳh roz-e-hashr
aur lutf ye hai aap gunāhgār bhī nahīñ
qaa.em huuñ apnī tauba pe maiñ aaj bhī magar
koī hasīñ pilā.e to inkār bhī nahīñ
kyā kījiye numā.ish-e-ġham ḳhūn-e-dil ke ba.ad
ab ārzū-e-dīda-e-ḳhūñbār bhī nahīñ
elān-e-be-ḳhudī hai har ik qatra-e-lahū
mere junūñ kī had rasan-o-dār bhī nahīñ
nūr-e-sahar ke naam pe bhaTkeñ na qāfile
dar-asl abhī to sub.h ke āsār bhī nahīñ
vaa.iz ḳhayāl-e-tauba bajā hai magar abhī
maiñ to ba-qadr-e-zarf gunāhgār bhī nahīñ
Top Urdushayar.com