madāva-e-junūñ sair-e-gulistāñ se nahīñ hotā
rafū-e-chāk-e-dil tār-e-garebāñ se nahīñ hotā
ba-juz manzil kahīñ rāhat nahīñ miltī musāfir ko
ilāj-e-ābla-pā.ī bayābāñ se nahīñ hotā
hijāb-e-dost ne baḳhshā hai vo lutf-e-yaqīñ dil ko
ki ye āsūda ab husn-e-numāyāñ se nahīñ hotā
jilā hotī hai zarf-e-zīst par tanqīd-e-dānā se
mudāvā nafs kā chashm-e-sanā-ḳhvāñ se nahīñ hotā
ba-qadr-e-zarf fitrat kartī hai bālīdgī dil kī
ye vo kār-e-aham hai jo dabistāñ se nahīñ hotā
kiyā hai rū-shanās-e-afv maiñ ne terī rahmat ko
liyā vo kaam isyāñ se jo īmāñ se nahīñ hotā
jigar ke daaġh hī marqad meñ kaam 'ejāz' ā.eñge
ujālā aisī zulmat meñ charāġhāñ se nahīñ hotā