mai-ḳhāna hai binā-e-shar-o-ḳhair to nahīñ
ai shaiḳh-o-barahman haram-o-dair to nahīñ
qāsid ko tak rahā huuñ bajā.e javāb-e-ḳhat
kambaḳht ye na kah de kahīñ ḳhair to nahīñ
apnoñ kā shikva kis liye aa.e zabān par
ahbāb ke sitam sitam-e-ġhair to nahīñ
aapas meñ kyuuñ haiñ bar-sar-e-paikār ahl-e-shahr
dekho yahāñ kahīñ haram-o-dair to nahīñ
ai shaiḳh sirf shikva-e-pindār zohd hai
varna mujhe janāb se kuchh bair to nahīñ
mahv-e-ḳhirām ġhuncha-o-gul dekh-bhāl kar
pāmālī-e-bahār hai ye sair to nahīñ
banda-navāz aap aur izhār-e-shukriya
'ejāz' aap kā hai koī ġhair to nahīñ