rāh-e-talab meñ ahl-e-dil jab had-e-ām se baḌhe
kashmakash-e-hayāt ke aur bhī hausle baḌhe
kis se ye pūchhiye bhalā tishna-laboñ ko kyā milā
kahne ko yuuñ to roz hī saikḌoñ mai-kade baḌhe
koshish-e-paiham āfrīñ manzil ab aa ga.ī qarīb
muzhda ho ārzū-e-dil paañv ke aable baḌhe
aate hī us ne bazm meñ ruḳh pe naqāb Daal lī
haa.e vo manzar-e-hasīñ jaise diye jale baḌhe
vaqt kī āzmā.isheñ laatī haiñ ziist par nikhār
phūloñ ko dekh lījiye kāñToñ meñ jo pale-baḌhe
tābish-e-husn-e-yār ne chhīn lī tāb-e-arz-e-shauq
jitne qarīb aa.e vo utne hī fāsle baḌhe
rāhoñ ke ruḳh badal ga.e manzileñ duur ho ga.iiñ
ḳhizr ke e.atibār par jab kabhī qāfile baḌhe