kār-e-ḳhair itnā to ai laġhzish-e-pā ho jaatā
paa.e saaqī pe hī ik sajda adā ho jaatā
vo to ye kahiye ki majbūr hai nazm-e-hastī
varna har banda-e-maġhrūr ḳhudā ho jaatā
qāfile vaale the mahrūm-e-basīrat varna
merā har naqsh-e-qadam rāh-numā ho jaatā
ġham ke māroñ pe bhī ai dāvar-e-hashr ek nazar
aaj to faisla-e-ahal-e-vafā ho jaatā
yuuñ añdheroñ meñ bhaTakte na kabhī ahl-e-ḳhirad
koī dīvāna agar rāh-numā ho jaatā
dil tirī nīm-nigāhī kā to mamnūn sahī
dard abhī kam hai zarā aur sivā ho jaatā
lazzat-e-ġham se hai zid fitrat-e-ġham ko shāyad
dard hī dard na kyuuñ dard davā ho jaatā
sun ke bhar aatā agar un kā bhī dil ai 'ejāz'
qissa-e-dard kā unvān nayā ho jaatā