Khaavar Jilani

behtar ki gunjaish baqi rah jati hai

Khaavar Jilani

behtar kī gunjā.ish baaqī rah jaatī hai
kamī kahīñ poshīda koī rah jaatī hai
man-chāhī tasvīr banāne meñ mujh se
hunar-varī meñ kuchh kotāhī rah jaatī hai
sailāb aa jaane par us bastī kī
saarī puḳhta-kārī kachchī rah jaatī hai
banñe vaalī baat vahī hotī hai vo jo
bante bante yaksar bantī rah jaatī hai
rah jaatī hai aate aate aatī saa.at
honī hote hote hotī rah jaatī hai
vaqt guzar jaatā hai lekin dil kī ranjish
dil meñ baiThī kī baiThī hī rah jaatī hai
chalte rah jaate haiñ roz o shab ke dhande
gañgā ulTī sīdhī bahtī rah jaatī hai
phāñk liye jaane ko ḳhaak masāfat kī
rāhoñ par hī chhānī-phaTkī rah jaatī hai
aa jaatī hai birhā aur dulhniyāñ chhat par
apne giile baal sukhātī rah jaatī hai
Top Urdushayar.com