Khaavar Jilani

qadam qadam ka ilaqa hai na-rawa tak hai

Khaavar Jilani

qadam qadam kā ilāqa hai nā-ravā tak hai
fusūn-e-jaur-o-jafā pesha jā-ba-jā tak hai
gar ek baar kā honā alam ġhanīmat thā
sitam to ye hai ki dar-pesh bār-hā tak hai
diye kī lau se nahīñ vāsta kisī kā koī
agar kisī kā koī hai to phir havā tak hai
amal hai ḳhud pe amal-dār tā dam-e-mauqūf
aur is kā radd-e-amal apne iltavā tak hai
sadā-e-shor-o-shaġhab hai idhar samā.at tak
shunīd gird o javānib idhar sadā tak hai
magar ye kaun batā.e safar-e-navardoñ ko
ki had dasht-e-junūñ un ke iktifā tak hai
ai be-qarāri-e-dil mujh ko ye ḳhabar hī na thī
ki jo qarār kī sarhad hai ittiqā tak hai
ḳhudā se baad meñ rakkhe hue hai duniyā ko
vo fāsla jo hathelī se ik duā tak hai
kahīñ pare kī hai hājat-ravā.ī se merī
mirā savāl zarūrat se māvarā tak hai
hai tū hī aañkh mirī ai jamāl-e-pesh-e-nazar
so ye tamāsha mirā ik tirī razā tak hai
nahīñ hai koī bhī hatmī yahāñ had-e-mālūm
har ek intihā ik aur intihā tak hai
Top Urdushayar.com