Khaavar Jilani

ata ke zor-e-asar se bhi TuT sakti thi

Khaavar Jilani

atā ke zor-e-asar se bhī TuuT saktī thī
vo shāḳh bār-e-samar se bhī TuuT saktī thī
maiñ dil meñ sach kī numū se thā ḳhauf khāyā huā
ki siip tāb-e-gohr se bhī TuuT saktī thī
usī pe thā mire har ek tiir kā takiya
kamāñ jo khīñch ke Dar se bhī TuuT saktī thī
paḌī thī aah ko hī ḳhud-numā.ī kī varna
ḳhamoshī dīda-e-tar se bhī TuuT saktī thī
juḌe hue the bahut vasvase ḳhayāloñ se
so niiñd ḳhvāb ke shar se bhī TuuT saktī thī
diloñ kī shīshagarī kār-gah-e-hastī meñ
hunar ke zer o zabar se bhī TuuT saktī thī
ye aab vo thā ki ātish bhaḌak na paane kī
rivāyat ek sharar se bhī TuuT saktī thī
maiñ ek aisā kināra thā jis kī qurbat ko
vo lahar apne bhañvar se bhī TuuT saktī thī
har ek lashkarī itrā rahā thā jis pe vo teġh
ḳhayāl-hā-e-zarar se bhī TuuT saktī thī
zamīñ na hotī agar is kamāl kī hāmil
qayāmat āsmāñ par se bhī TuuT saktī thī
tū ḳhush-nasīb thā varna tirī anā kī fasīl
Kamala-e-sirf-e-nazar se bhī TuuT saktī thī
Top Urdushayar.com