Khaavar Jilani

hamesha ki tarah banhen meri patwar karne ka

Khaavar Jilani

hamesha kī tarah bāñheñ mirī patvār karne kā
kiyā hai faisla naav ne dariyā paar karne kā
vahī hai mashġhala sadiyoñ purānā aaj bhī apnā
zamīñ par bojh hone āsmāñ ko baar karne kā
safar kā marhala to ba.ad meñ mahl-e-nazar hogā
abhī to mudda.ā hai rāsta pur-ḳhār karne kā
ta.alluq TūTtā jaatā hai apne-āp se merā
tavassut ban rahī hai āgahī bezār karne kā
mujhe rakhtī hai mushkil roz-marra kī sahūlat meñ
mirā ma.amūl hai āsāniyāñ dushvār karne kā
tamaddun ko havā detī hai āshufta-sarī merī
mujhe ta.amīr kartā hai junūñ mismār karne kā
kahāñ tak aur jaane āzmātī jā.egī mujh par
hunar jo jāntī hai shā.erī bekār karne kā
vo kuchh se kuchh banā Dālegā taslīmat ke ma.anī
salīqa aa gayā us ko agar inkār karne kā
na jaane soch kar sūraj ne kyā shab kī qalam-rau par
irāda multavī hī kar diyā yalġhār karne kā
Top Urdushayar.com