Khaavar Jilani

dukh to dukh the jo idhar bahr-e-aman aa nikle

Khaavar Jilani

dukh to dukh the jo idhar bahr-e-amāñ aa nikle
aap is dil ke ḳharābe meñ kahāñ aa nikle
ik zarā nikle to āvāz dabā deñ apnī
kyā kareñ chup kā agar us kī zabāñ aa nikle
jaane kab qahqahe ronā paḌeñ ahbāb ke saath
jaane atrāf meñ kab shahr-e-fuġhāñ aa nikle
kuchh to dil-jūī chale dhūp-numā ḳhvāhish kī
dasht meñ tazkira-e-abr-e-ravāñ aa nikle
mere qadmoñ se kare jūñhī masāfat āġhāz
zād-e-rah meñ se usī vaqt ziyāñ aa nikle
dekhte dekhte sūraj kā lahū shaam huī
shab ke ālām the jitne bhī ba-jāñ aa nikle
apne sahrā se bañdhe pyaas ke maare hue ham
muntazir haiñ ki idhar koī kuaañ aa nikle
kyā maiñ phir bhī na karūñ aag sulagne kā gumāñ
jab mirī saañs kī naalī meñ dhuāñ aa nikle
ā.īne bech ke ab chalte bano 'ḳhāvar' tum
is se pahle ki koī sañg-e-girāñ aa nikle
Top Urdushayar.com