Khaavar Jilani

sar-e-iza-rasani chal rahi hai

Khaavar Jilani

sar-e-īzā-rasānī chal rahī hai
tabī.at meñ girānī chal rahī hai
isī dil ke hazāroñ vasvasoñ meñ
vahī dhaḌkan purānī chal rahī hai
chalā jaatā hai har ik chal-chalāv
jo shai hai ānī-jānī chal rahī hai
maiñ barg-e-ḳhushk huuñ hamrāh mere
huā kī bad-gumānī chal rahī hai
badan meñ saañs kī sūrat yaqīnan
koī naql-e-makānī chal rahī hai
bahut hī muḳhtasar sī zindagī meñ
baḌī lambī kahānī chal rahī hai
abhī vo saath hai mere so mujh par
ḳhudā kī mehrbānī chal rahī hai
sabhī kirdār thak kar so ga.e haiñ
magar ab tak kahānī chal rahī hai
ḳhayāl aatā thā us kā jis ravish par
ab us par be-ḳhayālī chal rahī hai
Top Urdushayar.com