mufassal dāstāneñ muḳhtasar kar ke dikhā.eñge
tavālat umr bhar kī jast bhar kar ke dikhā.eñge
jo sapne dekh rakkhe haiñ jahān-e-dīda-e-vā ne
unheñ ta.abīr ke zer-e-asar kar ke dikhā.eñge
ye vo nam-nākiyāñ haiñ jo havā deñgī alaav ko
ye vo aañsū haiñ jo ḳhud ko sharar kar ke dikhā.eñge
bharosa rah gayā kuchh ḳhaak ko ham par agar to ham
fanā ke sāmne jīvan basar kar ke dikhā.eñge
talaffuz par na ho mauqūf jab kuchh to ma.ānī ko
kisī ke lafz kyā zer-o-zabar kar ke dikhā.eñge
ye bādal kyā dikhā.eñge havā ko mushta.il ho kar
ye patte peḌ ko kyā dar-ba-dar kar ke dikhā.eñge
ijāza ho gayā mojaz-bayānī kā to ham tere
isī tuḳhm-e-tahayyur ko shajar kar ke dikhā.eñge
agar pātāl ban jā.egā us kī tah meñ utreñge
agar choTī banegā us ko sar kar ke dikhā.eñge
gumāñ jo os ke qatroñ kī sūrat haiñ abhī 'ḳhāvar'
kisī din vo tumheñ ḳhud ko bhañvar kar ke dikhā.eñge