Waheeda Naseem

har ek gam pe sajda yahan rawa hoga

Waheeda Naseem

har ek gaam pe sajda yahāñ ravā hogā
ḳhudī kā daur hai har shaḳhs ab ḳhudā hogā
ba-nām-e-fasl-e-bahārāñ ḳhizāñ kī puujā hai
yahī mazāq-e-gulistāñ rahā to kyā hogā
dhuāñ sā uThne lagā dil se ahl-e-mahfil meñ
nayā charāġh koī bazm meñ jalā hogā
tumhāre shahr meñ aa.e haiñ ahl-e-ġhurbat phir
is aas par ki koī dard-āshnā hogā
jaras hai un kā sadā un kī kārvāñ un ke
sivā.e gard-e-safar mere paas kyā hogā
kabhī na ahd-e-junūñ meñ kisī ne sochā thā
ḳhirad kā daur bahut sabr-āzmā hogā
'nasīm' ham se hai zinda jahāñ meñ nām-e-vafā
hamāre ba.ad zamāna badal chukā hogā
Top Urdushayar.com