sitam hai dil ke dhaḌakne ko bhī qarār kaheñ
tumhāre jabr ko apnā hī iḳhtiyār kaheñ
sukūñ vahī hai jise chāra-gar sukūñ kah deñ
kahāñ ye izn ki kuchh tere be-qarār kaheñ
chhupā.eñ dāġh-e-jigar phuul jitnā mumkin ho
kahīñ na ahl-e-nazar un ko dil-figār kaheñ
fazā hai un kī chaman un ke āshiyāñ un ke
ḳhizāñ ke zaḳhm ko jo ġhuncha-e-bahār kaheñ
piye haiñ ashk hazāroñ to lab pe aa.ī hai
vo ik hañsī ki jise farz-e-nāgavār kaheñ
añdherī shab meñ jaleñge charāġh ban ban ke
vo naqsh-e-pā ki jinheñ raah kā ġhubār kaheñ
samajh sakegā vahāñ kaun rāz-e-mai-ḳhāna
'nasīm' tishna-labī ko jahāñ ḳhumār kaheñ