talḳhiyāñ is meñ bahut kuchh haiñ mazā kuchh bhī nahīñ
zindagī dard-e-mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ
sham.a ḳhāmosh bhī rahte hue ḳhāmosh kahāñ
is tarah kah diyā sab kuchh ki kahā kuchh bhī nahīñ
ham gadāyān-e-mohabbat kā yahī sab kuchh hai
garche duniyā yahī kahtī hai vafā kuchh bhī nahīñ
ye nayā tarz-e-karam hai tirā ai fasl-e-bahār
le liyā paas meñ jo kuchh thā diyā kuchh bhī nahīñ
ham ko ma.alūm na thā pahle ye ā.īn-e-jahāñ
us ko dete haiñ sazā jis kī ḳhatā kuchh bhī nahīñ
vahī aaheñ vahī aañsū ke do qatre 'ājiz'
kyā tirī shā.irī meñ in ke sivā kuchh bhī nahīñ