tujhe 'kalīm' koī kaise ḳhush-kalām kahe
jo din ko raat batā.e sahar ko shaam kahe
piye baġhair kaho to ye tishna-kām kahe
vo rāz-e-mai jo surāhī kahe na jaam kahe
na jaane ruuTh ke baiThā hai dil kā chain kahāñ
mile to us ko hamārā koī salām kahe
kahūñ jo barhaman o shaiḳh se haqīqat-e-ishq
ḳhudā ḳhudā ye pukāre vo raam raam kahe
maiñ ġham kī rāgnī be-vaqt bhī agar chheḌūñ
zabān-e-vaqt mujhe vaqt kā imaam kahe