vo sitam na Dhaa.e to kyā kare use kyā ḳhabar ki vafā hai kyaa?
tū usī ko pyaar kare hai kyuuñ ye 'kalīm' tujh ko huā hai kyaa?
tujhe sañg-dil ye pata hai kyā ki dukhe diloñ kī sadā hai kyaa?
kabhī choT tū ne bhī khaa.ī hai kabhī terā dil bhī dukhā hai kyaa?
tū ra.īs-e-shahr-e-sitam-garāñ maiñ gadā-e-kūcha-e-āshiqāñ
tū amiir hai to batā mujhe maiñ ġharīb huuñ to burā hai kyaa?
tū jafā meñ mast hai roz-o-shab maiñ kafan-ba-dosh o ġhazal-ba-lab
tire ro.ab-e-husn se chup haiñ sab maiñ bhī chup rahūñ to mazā hai kyaa?
ye kahāñ se aa.ī hai surḳh-rū hai har ek jhoñkā lahū lahū
kaTī jis meñ gardan-e-ārzū ye usī chaman kī havā hai kyaa?
abhī terā daur-e-shabāb hai abhī kyā hisāb-o-kitāb hai
abhī kyā na hogā jahān meñ abhī is jahāñ meñ huā hai kyaa?
yahī ham-navā yahī ham-suḳhan yahī ham-nishāñ yahī ham-vatan
mirī shā.irī hī batā.egī mirā naam kyā hai patā hai kyaa?