kahāñ nasīb vo kaifiyyat-e-davām abhī
ki mai-kashī hai ba-qaid-e-subū-o-jām abhī
havās-o-hosh ko kahiye mirā salām abhī
junūñ ko aql se lenā hai intiqām abhī
na jā sakegī vahāñ tak nigāh-e-ām abhī
mirā mazāq bahut hai buland-bām abhī
kuchh aur lījiye dār-o-rasan se kaam abhī
junūñ kā josh hai phailā huā tamām abhī
ḳhushī kahāñ ki ḳhushī kā nahīñ maqām abhī
na merī sub.h abhī hai na merī shaam abhī
usī tarah se hai be-rabtī-e-kalām abhī
fuġhāñ bhī aa.ī hai lab par to nā-tamām abhī
hai ahl-e-hosh kā kuchh aur hī payām abhī
magar mujhe to hai dīvāna-pan se kaam abhī
jahāñ meñ aane ko aa.e to inqalāb bahut
badal sakī na sahar se hamārī shaam abhī
usī ko hāsil-e-umr-e-vafā banānā hai
jo ik ḳhalish sī hai dil meñ barā.e naam abhī
yahāñ to din ko bhī tārīkiyāñ barastī haiñ
hamārī sub.h se achchhī hai un kī shaam abhī